Youth World :

Sunday, July 1, 2007

waqt nahi

>Har khushi hai logon ke daman mein,

>Par ek hansi ke liye waqt nahi.

>Din raat daudti duniya mein,

>Jindagi ke liye hi waqt nahi.

>

>Maa ki loree ka ehsaas to hai,

>par maa ko maa kehne ka waqt nahi.

>Sare rishton ko to hum maar chuke,

>ab unhe dafnane ka bhi waqt nahi.

>

>Sare naam mobile mein hain,

>par dosti ke liye waqt nahi.

>Gairon ki kya baat karen,

>jab apno ke liye hi waqt nahi.

>

>Aankhon me hai neend badee,

>par sone ka waqt nahi.

>Dil hai gamon se bhara hua,

>par rone ka bhi waqt nahi.

>

>Paison ki daud me aise daude,

>ki thakne ka bhi waqt nahi.

>Paraye ehsason ki kya kadr karein,

>jab apne sapno ke liye hi waqt nahi.

>

>Tu hi bata E zindagi,

>is zindagi ka kya hoga,

>Ki har pal marne walon ko,

>jeene ke liye bhi waqt nahi.......

Labels:

1 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]



<< Home